Ikram Naqvi, (at 12:39AM Friday 22nd of February 2008, GMT)
pari jo apni buriyon pai nazar
to nazar main koi bura na rahaa.
Zafar
janta hon sawaab taat o zahad
par tabiyat idhar nahi aati
Ghalib
Ikram Naqvi, (at 7:46AM Saturday 22nd of December 2007, GMT)
Ghalib kehtai hain
“Dile nadan tujhai hua kaya hai
Aakhir is dard ki dawa kaya hai”
Ikram Naqvi, (at 6:48AM Sunday 16th of December 2007, GMT)
Nasib aazmani ke din aa rahe hain
qarib un ke aane ke din a rahe hain
jo dil se kahaa jo dil se sunaa hai
sab un ko sunaane ke din aa rahe hain
chalo ‘Faiz’ phir se kahiin lagaayein
sunna hai thikaane ke din aa rahe hain
safia Khan, (at 4:35PM Wednesday 5th of December 2007, GMT)
Ghalib revisited
HazaroN khwahishein aisii ke her khwahish pe dum niklay,
Buhut niklay meray armaaN lekin phir bhi kam niklay!
safia Khan, (at 4:04PM Saturday 1st of December 2007, GMT)
RAIS AMROHVI ON REMEMBERING AMROHA
Shaklay zahir kuchh bhe ho jaey wohi rehte hain hum
Hum kahin bhi hoen magar Amrohvi rehtay haen hum
Naam lay lay ker fazaein yaad karti hain hamein
Aaj bhi us ki hawaein yaad karti hain hamein
Rais Amrohvi
Ikram Naqvi, (at 10:19AM Tuesday 27th of November 2007, GMT)
baithai hon shakh par yaa parwaz bhi parindai
bhata hai dil inka har subah chachahana
phoolon ki zindagi bhi kaya khoob zindagi hai
taa hadde umar inka shakhon yai muskarana
Shair unknown (Zindagi ko kis khoobsoorat tareeqai sai batyaa hai.
safia Khan, (at 11:30AM Sunday 25th of November 2007, GMT)
Ghalib: Wah Wah
aah ko chaahiye ik ‘umr asar hone tak
kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?
2. daam har mauj meiN hai halqa-e-sad_kaam-e-nahaNg
dekhaiN kya guzre hai qatre pe guhar hone tak
3. aashiqee sabr talab aur tamanna betaab
dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?
4. ham ne maana ke taGHaful na karoge, lekin
KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak
Tanvir Ali, (at 2:00PM Sunday 11th of November 2007, GMT)
Love the quality of input in this section.Main bhi paish kartaa hon:
“Dile nadan tujhai hua kaya hai
Aakhri is dard ki dawaa kaya hai”
Ghalib
waseem Ahmad, (at 11:16AM Tuesday 6th of November 2007, GMT)
Agar naa zohra jabeeno kai darmiya guzrai
To phir yai kaisai katai zindagi kahan guzrai
Jigar Moradabadi
Ikram Naqvi, (at 1:48PM Tuesday 11th of September 2007, GMT)
One of my most favourite shair of Ghalib
baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage
safia Khan, (at 1:10AM Sunday 9th of September 2007, GMT)
The best of HAFIZ
WHEN YOU CAN ENDURE
When
The words stop
And you can endure the silence
That reveals your heart’s
Pain
Of emptiness
Or that great wrenching-sweet longing,
That is the time to try and listen
To what the Beloved’s
Eyes
Most want
To
Say.
Ikram Naqvi, (at 1:09PM Thursday 6th of September 2007, GMT)
Hayat Amrohi kehtai hain_
zindagi kaa saaz bhi kya ssaz hai
baj rahaa hai aur baiaawaaz hai
Ikram Naqvi, (at 6:15PM Tuesday 4th of September 2007, GMT)
Jon Ailya on Amroha.
Aagai hain tumharai shahar sai door
rehai walai to ham waheen kai thai
safia Khan, (at 1:20AM Saturday 1st of September 2007, GMT)
Sadequain on Amroha:
Rukhsara-i-Gaiti Pe Sajil Amroha
Amroha ke Logon ka Hai Dil Amroha
Dilli hai Agar Aab tu Gil Amroha
Lucknau jo Bindi tu Til Amroha
Amroha Pe Do Shehar-i-Dil Ara Bakhshoon
Bas Ho Tu Samarqand-o-Bukhara Bakhshoon
Ikram Naqvi, (at 10:34PM Saturday 11th of August 2007, GMT)
khud amal taira hai soorat gar tairi taqdeer kaa
shikwa karta hai too apna kar taqdeer kaa na kar
Poet unknown