Home › Forums › Discussion › Urdu Poetry
Ikram Naqvi, (at 1:26AM Sunday 10th of June 2007, GMT)
I have always enjoyed Urdu poetry.
Some of my favorite Shairs(poets) are Ghalib, Jigar, Khumar, Faiz and Ahmad Faraz.
Some of my most favourite shairs are:
Ishq par zor nahi hai yai vo aatish ghalib
kai lagai naa lagi aur bujhai naa banai
Apni dunyaa aap paida kar agar zindon main hai
sirrai aadam hai zamire kunfakaan hai zindagi(IQBAL)
Yaqeen mohakam amal maiham muhabbat fathe aalam
jahade zindagani main hain yai mardon ki shamsheerain(IQBAL)
Syeda Masood, (at 12:47AM Wednesday 13th of June 2007, GMT)
Ghalib is a genius. The ideas he represents in his poetry are very deep but unfortunately translations can not do justice to Ghalib.
My favorites are:
Yun to tujh bin nahin koi mojood
phir ye hangama aye khuda kia hai
and
dil hee to hai na sang o khisht dard sey bhar na aye kyoon
royein gey ham hazar baar koi hamain satae kyoon
Another nice one:
tere vaadey par jiye ham to ye jan jhoot jana
key khushee sey mar na jate agar aitbar hota
safia Khan, (at 3:45AM Wednesday 13th of June 2007, GMT)
Remembering Jon Elia
ham to jaise yahaa.N ke the hii nahii.n
ham to jaise yahaa.N ke the hii nahii.n
dhuup the saayabaa.N ke the hii nahii.n
[saayabaa.N = cornice]
raaste kaaravaa.N ke saath rahe
marhale kaaravaa.N ke the hii nahii.n
[marhale = obstacles/difficulties]
ab hamaaraa makaan kis kaa hai
ham to apane makaa.N ke the hii nahii.n
in ko aa.Ndhi me.n hii bikharanaa thaa
baal-o-par yahaa.N ke the hii nahii.n
[baal-o-par = arms and wings]
us galii ne ye sun ke sabr kiyaa
jaane vaale yahaa.N ke the hii nahii.n
[sabr karanaa = to be patient]
ho terii Khaak-e-aastaa.N pe salaam
ham tere aastaa.N ke the hii nahii.n
[Khaak = dust; aastaa.N = threshold]
Ikram Naqvi, (at 11:30AM Sunday 17th of June 2007, GMT)
hai muhabbat hayat ki lazzat
varna kuch lazate hayat nahin
kaya ijazat hai aik baat kahon
vo—magar khair koi baat nahin
JON AILYA
Ikram Naqvi, (at 11:32AM Sunday 17th of June 2007, GMT)
sharm vahshat jhijak paraishani
naaz se kaam kyon nahi laintin
aap vo ji magar ye sab kaya hai
tum mairaa naam kyon nahin laitin JON AILYA
safia Khan, (at 7:40PM Monday 18th of June 2007, GMT)
Wah Wah Jon Elia
kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai
tere badan ki judaii bahut satati hai
tera bagair mujhe chain kaise padta hai
mere bagair tujhe neend kaise aati hai
minnatein hain khyaal ki tere
khoob guzri tere khyaal ke sath
maine ek zindagi basar kar dee
tere naa-deeda khatt-o-khaal ke saaath
saari aql-o-hosh ki aashaiyein
tumne saanchein mein junoon mein dhaal deein
kar lia tha maine ahd-e-tark-e-ishq
tumne phir baahein gale mein daal deein
dil mein jinka nishaan bhi na raha
kyun na chehroN pe ab wo rang khilein
ab to khaali hai rooh jazboN se
ab bhi kya ham tapaak se na milein
mere aur uske darmiyaan ab to
sirf ek roo ba roo ka rishta hai
haaye wo rishta, haaye khamoshi
ab faqat guftagoo ka rishta hai
Jaun Elia
safia Khan, (at 7:34PM Wednesday 27th of June 2007, GMT)
Ghalib remembered
dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai
2. ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ?
[ mushtaaq = interested, bezaar = displeased/sick of ]
3. maiN bhee muNh meiN zabaan rakhta hooN
kaash ! poocho ki “muddaa kya hai” ?
4. jab ki tujh bin naheeN koee maujood
fir ye hangaama, ‘ei KHuda ! kya hai
5. ye paree chehara log kaise haiN ?
GHamza-o-ishwa-o-‘adaa kya hai ?
[ paree chehara = angel faced, GHamza = amorous glance,
ishwa = coquetry ]
6. shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai ?
nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ?
[ shikan = wrinkel/fold, ambaree = fragrance, chashm = eye ]
7. sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN ?
abr kya cheez hai, hawa kya hai ?
[ abr = clouds ]
8. hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheeN jaante wafa kya hai
9. “haaN bhala kar tera bhala hoga”
aur darvesh kee sada kya hai ?
[ darvesh = beggar, sada = voice ]
10. jaan tum par nisaar karta hooN
maiN naheeN jaanata duaa kya hai
11. maiNe maana ki kuchch naheeN ‘GHalib’
muft haath aaye to bura kya hai ?
safia Khan, (at 2:54PM Saturday 30th of June 2007, GMT)
Khumar Barabankvi: A little sad never the less worth exposure
aisaa nahii.n ki un se mohabbat nahii.n rahii
aisaa nahii.n ki un se mohabbat nahii.n rahii
jazbaat me.n vo pahalii sii shiddat nahii.n rahii
sar me.n vo intazaar kaa saudaa nahii.n rahaa
dil par vo dha.Dakano.n kii hukuumat nahii.n rahii
paiham tavaaf-e-kuuchaa-e-jaanaa ke din gaye
pairo.n me.n chalane phirane kii taaqat nahii.n rahii
chehare kii jhurriyo.n ne bhayaanak banaa diyaa
aa_iinaa dekhane kii bhii himmat nahii.n rahii
kam_zorii-e-nigaah ne sanjiidaa kar diya
jalvo.n se chhe.D-chhaa.D kii aadat nahii.n rahii
allaah jaane maut kahaa.N mar ga_ii ‘Khumar’
ab mujh ko zindagii kii zaruurat nahii.n rahii
Ikram Naqvi, (at 1:33AM Friday 13th of July 2007, GMT)
Khumar mujai bhi bahut pasand hain.Mundarja shair mulahzaa farmain:
ab aansoo sanbhalte nahin hain hamare
tumhari amaanat tumare hawale
qamayat hi main phir mulaqat hogi
abhi waqt hai lot aajane wale
abhi khud mujhae shak hai apni wafaa par
abhi aur kuch din mujhai aazamalai
khumar ab yakhalus bhi apna badaldo
bane ho jo maikash se allah wale
safia Khan, (at 9:19PM Monday 23rd of July 2007, GMT)
Mohammed Iqbal ki yaad mein
aataa hai yaad mujhako guzaraa huaa zamaanaa
vo baaG kii bahaare.n vo sab ka chah-chahaanaa
aazaadiyaa.N kahaa.N vo ab apane gho.Nsale kii
apanii Khushii se aanaa apanii Khushii se jaanaa
lagatii ho choT dil par, aataa hai yaad jis dam
shabanam ke aa.Nsuuo.n par kaliyo.n kaa muskuraanaa
vo pyaarii pyaarii surat, vo kaamiinii sii muurat
aabaad jis ke dam se thaa meraa aashiyaanaa
Ikram Naqvi, (at 5:11PM Thursday 2nd of August 2007, GMT)
GHALIB KAA YAI SHIR MUJHAI BHAUT PASAND HAI.SHAYD AAPKO BHI PASAND AAI.
QAIDE HAYAT BANDO GHAM ASAL MAIN DONO AIK HAIN
MOT SAI PAHLAI AADMI GHAM SAI NIJAT PAI KYON
Ikram Naqvi, (at 10:34PM Saturday 11th of August 2007, GMT)
khud amal taira hai soorat gar tairi taqdeer kaa
shikwa karta hai too apna kar taqdeer kaa na kar
Poet unknown
safia Khan, (at 1:20AM Saturday 1st of September 2007, GMT)
Sadequain on Amroha:
Rukhsara-i-Gaiti Pe Sajil Amroha
Amroha ke Logon ka Hai Dil Amroha
Dilli hai Agar Aab tu Gil Amroha
Lucknau jo Bindi tu Til Amroha
Amroha Pe Do Shehar-i-Dil Ara Bakhshoon
Bas Ho Tu Samarqand-o-Bukhara Bakhshoon
Ikram Naqvi, (at 6:15PM Tuesday 4th of September 2007, GMT)
Jon Ailya on Amroha.
Aagai hain tumharai shahar sai door
rehai walai to ham waheen kai thai