Home › Forums › Discussion › Urdu Poetry
Nargis Siddiqui, (at 5:47AM Thursday 10th of April 2008, GMT)
Dile nadaan tujhai hua kiya hai
aakhir is dard ki dawa kiya hai
Ghalib
Ikram Naqvi, (at 12:07AM Tuesday 15th of April 2008, GMT)
bas mujhai yon hi khayal aayaa
sochti ho to sochti ho kiya
JON AILIYA
Ikram Naqvi, (at 11:31PM Thursday 22nd of May 2008, GMT)
Hamne mana ke taghaful na karoge laikin
khak hojaingai ham tum ko kahabr hone tak
Ghalib
safia Khan, (at 2:14PM Friday 23rd of May 2008, GMT)
dil ko jab dil se raah hotii hai
dil ko jab dil se raah hotii hai
aah hotii hai vaah hotii hai
ik nazar dil kii simt dekh to lo
kaise duniyaa tabaah hotii hai
husn-e-jaanaa.N kii manzilo.n ko na puuchh
har nafas ek raah hotii hai
kyaa Khabar thii ki ishq ke haatho.n
aisii haalat tabaah hotii hai
saa.Ns letaa huu.N dam ulajhataa hai
baat karataa huu.N aah hotii hai
jo ulaT detii hai safo.n ke safe
ik shikastaa-sii aah hotii hai
Jigar Moradabadi
Anand Raj, (at 9:44PM Friday 30th of May 2008, GMT)
Humsafar mere humsafar, masti main mere humsafar
Tumse jeena seekha humne, mast hokar humsafar
Mast hokar hum chale to, mit gaya mai ka asar
Mai raha na jana tujhe tab, tujhmain paya Eshwar
Eshwar ka utsav hai har par, hue samai se bakhabar
Humsafar mere humsafar, masti main mere humsafar
Anand
The gist of this is that when we love someone, I (meaning ego) doesn’t exist and you submit yourself to your loved one completely.
Life is good! So let’s continue to enjoy every single moment of it NOW without worrying about the past or the future. Time exists no more.
safia Khan, (at 9:44PM Saturday 14th of June 2008, GMT)
Allama Iqbal remembered
aataa hai yaad mujhako guzaraa huaa zamaanaa
Sir Mohammed Iqbal
aataa hai yaad mujhako guzaraa huaa zamaanaa
vo baaG kii bahaare.n vo sab ka chah-chahaanaa
aazaadiyaa.N kahaa.N vo ab apane gho.Nsale kii
apanii Khushii se aanaa apanii Khushii se jaanaa
lagatii ho choT dil par, aataa hai yaad jis dam
shabanam ke aa.Nsuuo.n par kaliyo.n kaa muskuraanaa
vo pyaarii pyaarii surat, vo kaamiinii sii muurat
aabaad jis ke dam se thaa meraa aashiyaanaa
Maryam Jahan, (at 5:20PM Monday 14th of July 2008, GMT)
QAIDE HAYAT BANDO GHAM ASAL MAIN DONO AIK HAIN
MOT SE PEHLE AADMI GHAM SE NIJAAT PAAI KYON
GHALIB
Ikram Naqvi, (at 11:06AM Wednesday 20th of August 2008, GMT)
Mera shair
PIYAR KE DEEP JALAONGA VO AAIN TO SAHI
RAAT MEN PALKAIN BIGADONGA VO AAIN TO SAHI
safia Khan, (at 2:03PM Saturday 30th of August 2008, GMT)
FARAZ REMEMBERED
ab ke ham bichha.De to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n
ab ke ham bichha.De to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n
jis tarah suukhe hue phuul kitaabo.n me.n mile.n
Dhuu.NDh uja.De hue logo.n me.n vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabo.n me.n mile.n
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishto.n jaisaa
dono.n insaa.N hai.n to kyo.n itane hijaabo.n me.n mile.n
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo
nashaa ba.Dataa hai sharabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n aaj ham daar pe khe.nche gaye jin baato.n par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n
ab na vo mai.n huu.N na tu hai na vo maazii hai `Faraaz’,
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabo.n me.m mile.n
safia Khan, (at 3:12AM Wednesday 15th of October 2008, GMT)
ham to jaise yahaa.N ke the hii nahii.n
ham to jaise yahaa.N ke the hii nahii.n
dhuup the saayabaa.N ke the hii nahii.n
raaste kaaravaa.N ke saath rahe
marhale kaaravaa.N ke the hii nahii.n
ab hamaaraa makaan kis kaa hai
ham to apane makaa.N ke the hii nahii.n
in ko aa.Ndhi me.n hii bikharanaa thaa
baal-o-par yahaa.N ke the hii nahii.n
us galii ne ye sun ke sabr kiyaa
jaane vaale yahaa.N ke the hii nahii.n
ho terii Khaak-e-aastaa.N pe salaam
ham tere aastaa.N ke the hii nahii.n
Jaun Eilia
Ikram Naqvi, (at 3:54PM Thursday 25th of December 2008, GMT)
FAIZ AHMAD FAIZ
na jaane jamo meena aur maimaane pai kiya guzri
jab uth kar main chalaa aayaa to mehkhane pe kiya guzri
bahut rangeeniyan chai hui theen awali shab main
bataao bazm walo raat dhal jaane pai kiya guzri
shama kaa rakhse sholaa aatshi to sab hi ne daikha
kisi ne ye nahin daikha ke parwane pai kiya guzri
safia Khan, (at 12:22PM Tuesday 30th of December 2008, GMT)
kis tarah paayaa tujhe phir kis tarah khoyaa tujhe
mujh saa munkir bhii to qaa_il ho gayaa taqdiir kaa
Ahmed Faraz
Ikram Naqvi, (at 2:02PM Tuesday 30th of December 2008, GMT)
ajal sar par khari hai waqt hai ab bhi chale aao
kisi ki aakhri hasrat ko thukrayaa nahi karte
Unhen behre havadis main kabhi sahil nahi milta
safine jinke toofanon se takrayaa nahi karte
Hamen hi saath lailo gar koi sathi nahin milta
ke tanha mehfile aghyar main jaayaa nhai karte
Fana ab ishq ki toheen hai khamosh hojao
jafai yaar ke qisson ko dohraya nahi karte
Salim Khatolvi
Ikram Naqvi, (at 11:55AM Monday 14th of September 2009, GMT)
Aah ko chaiye aik umr basar hone tak
Kon jeeta hai teri zulf ke sar hone tak
Mirza Ghalib
Ikram Naqvi, (at 7:24AM Saturday 13th of February 2010, GMT)
Agar naa zohra jabeeno ke darmiyan guzre
to phir ye kese kate zinzagi kahan guzre
Jigar Murabadi